Falsafa Samjho Na Asraar-e-Siyasat Samjho,
Zindagi Sirf Hakiqat Hai Hakiqat Samjho,
Jaane Kis Din Hon Hawayein Bhi Neelam Yahan,
Aaj To Saans Bhi Lete Ho Ghaneemat Samjho.

Jo Teer Bhi Aata Woh Khaali Nahi Jata,
Mayoos Mere Dil Se Sawali Nahi Jata,
Kaante Hi Kiya Karte Hain Phoolo Ki Hifazat,
Phoolo Ko Bachane Koi Maali Nahi Aata.

Kahin Behtar Hai Teri Ameeri Se Muflisi Meri,
Chand Sikkon Ki Khaatir Tune Kya Nahi Khoya Hai,
Mana Nahi Hai Makhmal Ka Bichhauna Mere Paas,
Par Tu Yeh Bataa Kitni Raatein Chain Se Soya Hai.

Humara Zikr Bhi Ab Jurm Ho Gaya Hai Wahan,
Dino Ki Baat Hai Mefil Ki Aabru Hum The,
Khayal Tha Ke Yeh Pathrav Rok Dein Chal Kar,
Jo Hosh Aaya Toh Dekha Lahu Lahu Hum The.

Jaruri Toh Nahi Jeene Ke Liye Sahara Ho,
Jaruri Toh Nahi Hum Jinke Hain Woh Humara Ho,
Kuchh Kashtiya Doob Bhi Jaya Karti Hai,
Jaruri Toh Nahi Har Kashti Ka Kinara Ho.

Waqt Noor Ko Benoor Kar Deta Hai,
Chhote se Zakhm Ko Nasoor Kar Deta Hai,
Kaun Chahta Hai Apno Se Dur Rehna,
Par Waqt Sabko Majboor Kar Deta Hai.

Ujalon Ki Pariya Nahane Lagi,
Nadi Gungunayi Khyalat Ki,

Main Khil Nahi Saka Ki Mujhe Nam Nahi Mila,
Saqi Mere Mizaaj Ka Mausam Nahi Mila.

Dil Ki Dahleej Par Yaadon Ke Deeye Rakhe Hain,
Aaj Tak Hum Ne Yeh Darwaaje Khule Rakhe Hain,

Din Ki Roshni Khwabon Ko Banane Mein Gujar Gayi,
Raat Ki Neend Bachche Ko Sulane Mein Gujar Gayi,
Jis Ghar Mein Mere Naam Ki Takhti Bhi Nahi Hai,
Saari Umar Uss Ghar Ko Banane Mein Gujar Gayi.

Sare Bajaar Niklun Toh Aawargi Ki Tohmat,
Tanhaayi Mein Baithhu Toh Ilzam-E-Mohabbat.

Share these shayari with your friends