Best collection of hindi shayari
Ajeeb Mithaas Hai Mujh Gareeb Ke Khoon Me Bhi,
Jise Bhi Mauka Milta Hai Woh Peeta Zaroor Hai.
Kuchh Dard Kuchh Nami Kuchh Batein Judayi Ki,
Gujar Gaya Khayalon Se Teri Yaad Ka Mausam.
Teri Chahato Mein Ruswa Sare Bajar Ho Gaye,
Humne Hi Dil Khoya Hum Hi Gunahgar Ho Gaye.
Wohi Rakhega Mere Ghar Ko Balaaon Se Mehfooz,
Jo Shajar Se Ghosla Girne Nahin Deta.
Ab Maayoos Kyun Ho Uss Ki Bewafai Pe Faraz,
Tum Khud Hi To Kehte The Ki Wo Sabse Juda Hai.
Kya Gila Karein Teri Majboorion Ka Hum,
Tu Bhi Insaan Hai Koyi Khuda To Nahin,
Mera Waqt Jo Hota Mere Minasib,
Majbooriyon Ko Bech Kar Tera Dil Khareed Leta.
Kya Bayaan Karein Teri Masoomiyat Ko Shayari Mein Hum,
Tu Lakh Gunaah Kar Le Saja Tujhko Nahi Milni.
Dam Tod Deti Hai Har Shikayat, Labo Pe Aakar,
Jab Masoomiyat Se Woh Kehti Hai, Maine Kiya Kya Hai?
Mujh Mein Khushboo Basi Usi Ki Hai,
Jaise Ye Zindgi Usi Ki Hai.
Yeh Mat Puchh Ke Ehsaas Ki Shiddat Kya Thi,
Dhoop Aisi Thi Ki Saaye Ko Bhi Jalte Dekha.
Koyi Aanshu Tere Daman Par Gira Kar,
Boond Ko Moti Banana Chahata Hu,
Kitne Parwaane Jale Raaz Yeh Paane Ke Liye,
Shama Jalne Ke Liye Hai Ya Jalaane Ke Liye.
Kuchh Rishte Umr Bhar Agar Benaam Rahen Toh Achchha Hai,
Aankho Aankho Me Hi Kuchh Paigaam Rahe Toh Achchha Hai.
Jab Mera Humdum Hi Mere Dil Ko Na Pahchhan Saka,
Aisi Duniya Mein Hum Gum-Naam Rahein Toh Achchha Hai.
Ab Na Umr Na Mausam Na Raste Ke Wo Patte,
Iss Dil Ki Magar Khaam-Khayali Nahi Jati.
Na Jaane Fir Bhi Kyu Sahil Pe Tera Naam Likhte Hain,
Hamein Maloom Hai Ek Din Kinara Doob Jayega.
Samandar Ke Safar Me Kismate Pahloo Badalti Hain,
Agar Tinke Ka Hoga To Sahara Doob Jayega.
Badi Tabdiliyan Laya Hu
Main Apne Aap Me Lekin,
Bas Tumko Yaad Karne Ki,
Wo Aadat Ab Bhi Baaki Hai!
Jhooth Bolte The Phir Bhi Kitne Sachche The Hum,
Yeh Un Dino Ki Baat Hai Jab Bachche The Hum.
Har Ek Baat Pe Kehate Ho Tum Ki Tu Kya Hai,
Tum Hi Kaho Ki Ye Andaaz-E-Guftgu Kya Hai.
Ye Rashk Hai Ki Woh Hota Hai HumSukhan Tumse,
Vargana Khaufe-Bad-Amojiye-Adoo Kya Hai.
Kadam Do Char Chalta Hoon,
Muqaddar Rooth Jata Hai,
Har Ek Umeed Se Rishta,
Humara Toot Jata Hai,
Zamane Ko Sambhalu Gar,
To Tum Se Door Hota Hoon,
Tera Daman Sambhalu To,
Zamana Chhoot Jata Hai!
Nigaaho Ke Takaaje
Chain Se Marne Nahi Dete,
Yahan Manjar Hi Aise Hain
Ke Dil Bharne Nahi Dete,
Kalam Main To Utha Kar
Jaane Kab Ka Rakh Chuka Hota,
Magar Tum Ho Ke Kissa
Mukhtsar Karne Nahi Dete!
Woh Jamana Gujar Gaya Kab Ka,
Tha Jo Deewana Mar Gaya Kab Ka.
Uska Jo Haal Hai Wohi Jaane,
Apna To Jakham Bhar Gaya Kab Ka.